Extension Kya Hai. Kaise Use Kare [ 7 Best Google Chrome Extension ]

7 Best Google Chrome Browser Extensions in Hindi : Aaj hum baat krege google chrome browser extension kya hai ? inhe Download karke use kaise kare.

Apne chrome browser me extension features jodne ke liye top useful extension ka upyog kar sakte hai. Yaha hum 7 top chrome extension jaise – Grammarly, Mail Checkar, Pocket, One Tab, StayFocusd, Momentum, Chrome Remote Desktop ke baare me janege. 

Install karke add karne ke liye iss post ko pura padhe. 

Aaj internet ka use bahut teji se bad raha hai.Aaj kisi ko bhi kuch janna hota hai to bah search karke jankari leta hai. 

Google Chrome ke badhte use ko dekhte huye company ne ise aur adhik advance bnane ke liye isme kuch best extensions ko jod diya hai. Inhe janne के liye iss post ko pura read kare.

Iske chalte Google Chrome ka use bhi bad gaya hai. Google Chrome,Google ka hi Browser hai jiska use hum online kuch bhi search karne ke liye karte hai.

Google Chrome ke bahut se Extension bhi jo humare kaam ko aur bhi easy bnate hai.

Chrome ko use karna easy hai. Isliye bahut se log iska use Laptop. PC, Mobile  me badi hi aasani se kar lete hai.

Yahi reason hai ki ise bahut jyada pasand kiya jaata hai browsing ke liye.Yesa nahi hai ki iske paas features ki koi kami hai,yaha bahut se important feature ke sath kai plug-in or extension hai jo ise or powerful or useful banate hai.

Jaante hai yese extension or shortcut ke baare me jo chrome ke experience ko saandar bana denge. 

To chaliye jante hai inka use kaise kar sakte hai.


7 Ultimate Google Chrome Extensions Kaise Or Kis Tarah Aapke Kaam Easy Karte hai.

7 Best Google Chrome Browser Extensions Kya Hai – Kaise Use Kare :

Download Kaise Kare  –

Extension download karne ke liye sabse pahle aapko apne chrome ko open karna hoga. Ab jo naya page open hoga usme upar right hand me Menu jo 3 binduo ka hoga.

Us Menu par click karne se ek window open hogi ,isme More tools option par click karne se ek nai window or open hogi isme hi Extension option se aap download kar sakte hai.

*  6 Tariko Ka Use Karke Apne Mind Ko Creative Kaise Banaye.

#1. Google Chrome Extensions: Grammarly Extension –



7 Ultimate Google Chrome Extensions Kaise Or Kis Tarah Aapke Kaam Easy Karte hai.

Chrome me ek built in spel checkar hai.Iski help se aap speling ki galtio ko pakad sakte hai.Grammar ki galtiya dur karne ke liye aap grammarly use kar sakte hai. 

Grammarly ki help se aap apne kisi bhi Mimo ya Email ko bina gramatical error ke type kar sakte hai , sath hi sahi word ko use karne ko kahta hai.or galtiya thik karta hai.

Typing ka jyada kaam hai to yah aapke liye kaafi useful saabit ho sakta hai. 

#2. Mail Checkar Extension  –


7 Ultimate Google Chrome Extensions Kaise Or Kis Tarah Aapke Kaam Easy Karte hai.

Agar aap kisi company me important post par work kar rahe hai to aapke liye har Email par najar rakhna jaruri hota hai.

Yese me har baar mail check karna kaafi problem karta hai.Ab aap google ka Mail Checkar Extension download kar sakte hai.

Yah Gmail me naya mail aate hi aapko jaankari de dega.

#3. Pocket Extension –


7 Ultimate Google Chrome Extensions Kaise Or Kis Tarah Aapke Kaam Easy Karte hai.

Online browsing ke samay log badiya contant najar aane par use bookmark kar lete hai ya web address copy kar lete hai.Isse web address khojane ki jarurat nahi padti hai.Ab iss problem ko khatam kar sakte hai.

Iske liye pocket extension use karna hoga.Yah contant ko save karne or baad me usse dekhne ki facility deta hai.Saved URL ko kisi bhi device par dekh sakte hai.

Pocket free IOS or Android apps ke roop me bhi presant hai.

#4. OneTab Extension  –


7 Ultimate Google Chrome Extensions Kaise Or Kis Tarah Aapke Kaam Easy Karte hai.

Online multi tasking se chrome window me kai saare Tab open kar liye jaate hai.Ab OneTab Extension se Tabs ko organize kar sakte hai.

Yah mojud Tabs ko ek single Tab me change kar deta hai, jisme dekh paate hai ki aapne kon si Website`s open kar rakhi hai.

OneTab contant table ki tarah hai jisme saare open chrome Tabs ka hisaab hai.

#5. StayFocusd Extension  –


7 Ultimate Google Chrome Extensions Kaise Or Kis Tarah Aapke Kaam Easy Karte hai.

Works par focus banaye rakhne ke liye aap StayFocusd Extension download kar sakte hai.Isse un websites ko block kar sakte hai,jinse dhyan yah-bah jaata hai.Inhe block rakhne ka time bhi fix kar sakte hai.

StayFocusd enable hone ke baad aap koshish karne ke baad bhi uss website`s par visit nahi kar payenge jo aapne block ki hai.

#6. Momentum Extension  –


7 Ultimate Google Chrome Extensions Kaise Or Kis Tarah Aapke Kaam Easy Karte hai.

Ab chrome ke home page ko beautiful bna sakte hai. Iske liye home page ko kisi or chij me change karne or google search ko off karne ki bhi jarurat nahi hai.

Plug-in momentum se aapke display par sundar background wallpaper aa jaate hai jo daily change hote hai, Time, Weather or Dashboard visits bhi aa jaate hai jin par daily ke work ki list hoti hai.

#7. Chrome Remote Desktop Extension  –

Iss Extension ki help se aap apne computer or iss par mojud contant ko remotly access kar sakte hai.

Agar aap apne office se koi digital file lana bhul jaate hai or aapka system ON hai or sath hi internet se connect hai.

To aap chrome remote desktop ki help se ghar se apne office ke computer me securly login kar sakte hai.

Google ke chrome remote desktop ka IOS or Android App bhi mojud hai jinse aap Mack, PC or Chromebooks ko apne phone se bhi access kar sakte hai.


Iss post me aapne 7 Best Google Chrome Browser Extensions Kya Hai –  Kaise Use Kare jaana hoga. 

Isse apko kuch help mili ho or yadi aap kuch naya sujhab dena chahte hai to comment kare.  Share karna naa bhule. Thanks. 


Leave a Comment