Secret of Success in Hindi – अपने कामो को प्राथमिकता कैसे दे

Secret of Success in Hindi :  Aaj hum baat krege life me success kaise paye. iss post ke jariye yesa success mantra milne baala hai jisse aap safalta ke shikhar tak pahuch sakte hai. 

Bas aapko apne kaamo ko Redefine krna hoga mtlab aap jo bhi kaam krte hai uss par najar dalkar fir se check krna hoga. Humne iss post me inhi tariko par baat ki hai. janne ke liye pura padhe.  

But sabhi apni life me ek ache mukam par nahi pahuch paate iska sabse bada karan apne kaam ko ‘Redefine’ naa karna.

Redefine ka mtlab aap jo kaam kar rahe hai uss par najar rakhna,Aap iss post ko pura pade aapko saari jankari mil jaayegi.

Aaj hum badi cityo me dekhate hai,log countinue work karte rahte hai or kai baar bahut se logo me sunne ko milta hai ki humare paas time nahi hai.

Iss dharti par jaise ameer,gareeb,intelligent, kisi ka dimag tej chalta hai to kisi ko ache ideas aate hai or bhi bahut kuch.Yaha alag-alag pratibha ke log rahte hai,inme se bahut logo ko chije birasat me mili or bahuto me ise apne dam par banaya.

To chaliye jante hai Success के लिए अपने कामो को कैसे redefine कर सकते है.


Success Ke Liye Primary Work Ko Kaise `Redefine` Kare



Yadi dekha jaaye to sabhi ke paas chije alag ho sakti hai lekin ek baat jo sab ke saath common hai bo hai 24 hour,Or iska importance to aap sabhi ache se jante hoge.

Upar baale ne time sabhi ko barabar 24 hour diya.Yadi aapke paas time hai or aap uska sahi use kare to aap life me bo sabhi kuch paa sakte hai jo aap paana chahte hai.

Me yah nahi kah raha ki baki chijo ka koi importance nahi hai balki unka bhi apni jagah bahut mahatb hai,Kyoki bahut se logo ko jis time par chije milna chahiye uss time par nahi mil paati jisse be samay se kaafi pichhad jaate hai.

Freebitco.in से Free Bitcoin या Satoshi कैसे कमाए ?

Abhi tak jitne bhi mahan or bade business men log huye unhone time ke importance ko samjhte huye uska bade hi sahi tariko se use kiya or success ko achieve kiya.


Har kisi ke paas ek pure din or raat milakar ginti ke 24 ghante hi hote hai.Koi isme badi-badi success paa lete hai to koi samay ki kami ki baat kahakar setution ko kosta hi rah jaata hai.

Apne time ka sahi use naa kar paane ki sabse badi bajah hai humari prathmiktao (primary) ka sahi tarah se paribhashit (define) naa hona.

Ek baar apni prathmiktao ko fir se paribhashit (Redefine) kare. Aapko jaruri kaam ke liye samay mil jaayega.

Life me Success Kaise Paye – Apne kaam ko Redefine Karke :

What Is Goal (Lakchay) :

Goal ko define kare to iska mtlab ek prakar se kah sakte hai ki jo bhi choti ya badi chije jinhe hum humari life me paana chahte hai.


Yahi humare Goal hote hai.Jab inn Goal ko paa lete hai to ise success kahte hai.

Goal 2 type ke hote hai :


Short Term Goal :- Short Term Goal be Goal hote hai jo bahut hi kam time me hume complete krna hote hai or inka result bhi jaldi hi mil jaata hai. dekha jaaye to ye Long Term Goal tak pahuchne ke raste me aate hai.

Long Term Goal :- Dekha jaaye to Long Term Goal ,Bahut se Short Term Goal se milkar hi bane hote hai.Isliye success ke liye bade Goal ko paane ke liye chote-chote Goal bnana bahut jaruri hota hai.


Jaise bade Goal ko paana aapke success ko darshata hai usi tarah chote Goal uss success ki bahut si sidiya hoti hai.Yaha kuch work diye hai,Goal ko paane ke liye kin work par jyada focus hona chahiye ye jaanege.

1. Common Work –

Ye bah work hai jo sabhi apni life me daily karte hai, Jaise Fresh hona, Nahana, Khana khana, Sona etc.Ye work important hote hai, Inko karna compalsary hota.

In kaamo ko jitna time dena chahiye utna to dena hi chahiye,Kyoki healthy rahne ke liye ye jaruri hai.Or aap ache se janate hi honge ki bina healthy life ke baki sab chijo ka koi mahatb nahi rah jaata hai.


Jab aap healthy hote ho to sabhi kaamo ko ache se kar paate ho.Ye bahut hi jaruri hai success ke liye.

2. Primary Work –


Common work ke baad isi work ka number aata hai,Ye direct aapki life ke success se juda hai or iss post ka kaafi important part bhi hai.

Ise kaise jaan sakte hai.Iska jaanne ka tarika hai ki jo bhi aap apni life me Goal banate hai success paane ke liye to isme aap ye dekhiye ki Goal ko paane ke liye kin-kin kaamo ko primary work banana padega.

Jab aapko ek baar malum ho jaata hai ki success ke liye aapke primary work kya hai,Tab aap inhe common work ke baad kisi bhi haalat me karne ki koshish kare

Kyoki yahi work aapko apni manzil ki orr le jaayege.Sath hi aapko iski habit ho jaayegi kuch hi dino tak daily karne par.

Kisi bhi Success ya Goal ko paane ke liye inhe habit me laana hi hoga.
Hum ek society me rahte hai,Humari bhi ek family or bahut se relation baale log hote hai.

Inme bhi humare kuch yese farja banate hai jinhe hume primary rakhkar karna hote hai,Kyoki ye bhi kuch jaruri hote hai.

Lekin dhyan ye rakhna hoga ki ye kaam bakayi primary hai ya nahi,Yadi ye bahut hi jyada important hai to aap kar sakte hai.Kyoki inme sabhi ke primary work alag-alag ho sakte hai.

Konsa Business Kare – Business Idea कैसे खोजे ?

3. Secondary Work :-

Ye bah work hote hai jo Common Work or Secondary Work ke baad aate hai,Ya kahe ki ye be work hai jinhe kuch time ke baad kare ya naa bhi kare to isse humare Goal par inka koi effect naa pade.

Secondary Work jaise,Bina kisi karan ke kahi bhi baithe rahna ya kisi se milna or be saare kaam jo bahut jyada important nahi hai etc. ye sabhi Secondary Work me aate hai.

Isi tarah hum society,family,relation me rahte yah kaafi kaam important hote hai lekin yadi Secondary Work ki najaro se dekhe to yah bhi bahut se kaam jyada important nhi hote. 

Prathmiktao ka pta lagane ke liye sabse pahle yah suchi banaye ki aapke Goal kya hai? Iske baad yah dekhe ki inn Goals ko pura karne ke liye kya kiya jaana jaruri hai ?


Kuch kaam aapko bilkul haal hi me anjaam dene pad sakte hai,Jabki kuch ke liye continue koshish jaruri hoga.Goal tak pahuchne ke liye jaruri kaam hi prathmiktaye hai.

Top 5 Best Small Online Business Ideas से पैसे कैसे कमाये ?

Success in Hindi : Observation कैसे करे –

Aapko yaha apne daily ke kaamo ko observa karna hoga, Jisse ye pta lagega ki aap apne kaamo ko kitna-kitna time de rahe hai.

Common Work :- Iss work ke liye to aapko daily time dena hi hai,Lekin observation me dekhne bali baat ki sabhi Common Work ko diye jaane baala time kitna hai,Kya jyada ya kam to nahi hai.


Primary Work :- Ye Work direct aapki success se jude hai.Yaha dekhane baali baat ye hai ki aap apni success ke liye iss work ko kitna time de paa rahe hai,Ise observa kare.


Secondary Work :- Ye be kaam ya chije hai jo aapka time waste kar rahi hai,or aapko success se dur kar rahi hai.Inhe observa karke dhire-dhire kam kare.

Ab aap ek suchi banaye ki aapke din ka samay kin-kin kaamo me bitata hai.Har kaam par lagne baale time ko bhi note karte chale.Ab Goal ke liye jaruri kaamo or apne mojuda kaamo ko compair kare.Aapko pta chalega ki aap sahi direction me hai ya nahi.

Conclusion :- 


Yaha aapko change ye karna hai ki,Dono suchiyo ko compair karna hoga or dekhana ye hai ki kaha aapka time jyada jaa raha hai.Yadi yah samay Goal ke liye jaruri kaam ke anusaar nahi hai to ise change kare.

Yese bahut se kaam aapko dikhe honge jo aapko koi faayda nahi hai,Inn par lagne baale time ko kam kare.

Dosto yah thi Secret of Success in Hindi apne kaamo ko redefine karne baali jaankari.


Mujhe aasa hai aapko iss post se kuch yesa mila hoga jisse aap life ko successful kaise banaye ke liye help mili hogi. Comment ke jariye jarur btaye or friends circle me share karna naa bhule. Or bhi yesi hi post paane ke liye humse jude rahe.Thanks.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *