PC or Laptop Ko Virus Se Kaise Bachaye – 4 Best Tarike

PC, Computer or Laptop Ko Virus se Kaise Bachaye : yadi aap pc or laptop ka use krte hai tab aapko virus se paresani hoti hi hogi. Hum iss post me btayege laptop se virus kaise nikale ya virus se kaise bachaye. 

Laptop, PC aur bhi bahut se devices ka use continue badhta jaa raha hai. isi ke chalte humare laptop ya pc me virus aane ki possibility bad jaati hai. 

apne system ko virus free rakhne ke liye yah post pura padhe.

Jaha tak ye device, online work aur social media par bahut saari facility dete hai bahi inki security ki problem’s bhi hai.Aaj hum isi topic par baat karenge ki kaise apne laptop ya PC ko virus se bacha kar rakhe.

To chaliye jante hai PC Ya Laptop Virus Free Kaise Kare.


PC Laptop Virus Free Kaise Kare


PC, Laptop Ko Virus Se Kaise Bachaye – puri jankari hindi me :

PC Nahi Hoga Hang :-


1. Download’s Par Najar :-

Agar inbox me yese email address se email aata hai jise hum nahi jaante hai,to uss email ke saath aaye attechment (file or link) ko turant naa khole.

Email me diye gaye links par bhi click karne se bache.Agar link kholna hi hai,to uss par right click karke copy shortcut kare aur usse notepad par paste kare.

Isse aapko sahi link ke baare me pta lag jaayega.Internet se kisi bhi software ko download karne se pahle antivirus se scan kare.Apne PC par galat file download naa hone de.

2. Antivirus Software Ko Safe Rakhna :-

Aajkal market me kai antivirus software sell ho rahe hai.Inme se kuch khas hai – McAfee, Quick Heal, Norton, Avast , Trend Micro, Kaspersky. Aap apne PC ke liye inki author ( आधिकारिक ) website se free version bhi download kar sakte hai.

Ye antivirus aapke computer aur internet ke bich ke connection par najar rakhte hai.Isi tarah se zone alarm bhi ek achha firewall hai.

Yah internet se virus aur spyware download hone se rakta hai aur aapki personal informations ko internet par leak nahi hone deta hai.Kai software khud ko internet ki help se time-time par update’s karte rahte hai.

Iska kaarn hai ki virus bnane baale inn software ki kamiya khojte rahte hai.Software bnane baali companiya bhi inn kamiyo ko dur karti rahti hai.

3. Safe Rakhe :-

Apna personal computer on karte hi F8 press kare.Isse safe mode ka option najar aayega.Ise select kar enter kare.Safe Mode me khulne ke baad antivirus software istemal karenge, to virus jaldi pakad me aa sakta hai.

Iske baad PC ko restart kar General Mode me chalaye.Anjaan website’s par surfing karne se bache.Default user ko administrater ki bajaye user ke tor par hi kaam karne ki permission de.

Aapko PC ko clean rakhna chahiye.Desktop par unuseable file’s nahi rakhna chahiye.Ek hi subject se related file’s ke liye ek folder bna lena chahiye.

Disk cleanup aur defragmentation se space clean karna chahiye. Purani aur unusable file’s ko delet kar sakte hai.

Aapko download folder me jaakar content check karna chahiye ki kahi kuch galat downloading to nahi ho rahi hai. 

PC or Laptop Ko Virus Se Kaise Bachaye se related post kaisi lagi jarur btaye aur saath hi apne friend’s ko social media jaise – Facebook, Google+, Twitter etc. par share karna naa bhule.

Leave a Comment