Meri Help Karo – Help Kaise Kare 2 Tarike.

Meri Help Karo, Mujhe Help Chahiye – Help Kaise Kare : Hum iss me share kar rahe hai ki hume help kyo karna chahiye yah jaruri kaise hai aur isse aapko fayada kaise hoga. inn sabhi baato ko janne ke liye post ko pura jarur padhe.

Lekin yaha hum investment ko help se related karke samjhege. Jab hum business me invest karte hai tab hume uska profit return usi time nahi milta ,hume kuch month ya fir kuch year tak bhi wait karna padta hai.

Yaha hum investment ko kisi ki help ya kisi ke liye time nikalne se relat karke baat karenge. To chaliye jante hai.


Help Karna Kis Tarah Humare Liye Future Investment Hai


Jaisa Behaviour Hum Dusro Se Apne Liye Chahte Hai , Baisa Hi Behaviour Hume Dusro Ke Sath Karna Chahiye


Help karte time aapko iss baat ko ignore karna hoga ki usse hume kya milega, kyoki iss baat ka pata saamne bale person ke help karne se pahle or help karne ke baad change huye behaviour se jaan sakte hai.Yaha kebal feel kiya jaa sakta hai.



Help investment se related kuch topic par baat karte hai. Ye kuch topic me share kar raha hu.

Meri Help Karo – Help Kaise Kare 2 Tarike :

Financial (Paisa) Help  :- 

1. Humne hamare Aas-paas kai Bachcho, Bude, Orato ko bhikh mangte dekha hai. 

Hum inhe nahi jante hai bhi kai baar bina kisi return(fayade) ke kuch paise de dete hai or bo bhi bina kisi exeptation ke ki baad me ye log bhi hume kuch denge fir bhi hum inhe paise dete hai bas isliye ki unki kuch help ho jayegi.

Or hume badle me Duaa mil jati hai.Is tarah help karke jo internal (man ki) shanti milti hai uska koi compair nahi.

Isliye jaha tak ho sake iss tarah help karne ki koshish jarur kare.


2. Financial help me dusra point humare aas-paas ke be log jinhe hum jante hai jaise friends,relative etc. Aap jab in logo ki paise se related help karte ho to aap jane – anjane ek yesa button ko puss karte hai jo aakho se dikhai nahi deta usse kebal feel kiya jaa sakta hai. 

Dusro ki madad karke ek tarike se hum humari hi madad karte hai humare problems bale dino me help ke liye.

Kyoki kal kisi ne nahi dekha jab hume kal paise se related jarurat hoti hai to ye log hi humare sath hote hai.

Note:- 

Jis tarah kahi-kahi kuch apbaad (Exception) hote hai.Usi tarah hume har janne bale par believe nahi karna chahiye. 

Is tarah ki help karne se pahle usse ache se jaanna bahut jaruri hai or ye hume uske behaviour se pta chal sakta hai.

Kisi ne sahi kaha hai..  Pyar Sab Se Kare, Lekin Believe Kuch Par Hi Kare.


* Success Mantra in Hindi – अपने Comfort Zone से बाहर निकले।

Time Dekar Help  :- 

Yaha time dekar help se matlab kisi ke liye humare important time se kuch time dusro ki help ke liye dena.

Jab aap kisi ke liye time nikalkar help karte ho bah bhi aapki madad ke liye time nikalenge. But yaha bhi bahi baat lagu hoti hai jo upar maine Note me likhi hai ki aap usi insaan ki madad kare jo iske layak ho.

Isse related ek story batata hu jo mere friend se relate karti hai.


Hostel me mere sath ek friend rahte the jo ab apni study complete karke chale gaye hai. 

Jab bo competition exam ke paper dene ke liye baapas aaye to hostel me hi 2 din ruke, yaha hostel ke janne bale sare unse milne aaye ye sab unke ache behaviour ke karan hi hua kyoki unka behaviour bahut hi badiya friendly or khus-mijaj hai.

Hostel me bo mere hi room me ruke or sath me hi shopping ke liye bhi gaye kyoki be mere achhe friend hai.


* Apna Business Kaise Start Kare in Hindi – Start Up Tips.

Jab bo pahle iss hostel me rahte the tab ek anjaan person unse mila or unse apna Tiffin (khane ka box) monthly bases par lagbane ke liye kahne laga kyoki uss person ne khane ka naya business start kiya tha or usse market me pahuch banani thi.


Mere friend ne bo Tiffin start karba liya kyoki hostel me koi Mesh nahi hai sabhi kahi n kahi khana khate the.

Mere friend ne unhe ek Mesh kholne ke liye advice kiya jo ki issi market me jagah rante se lekar thi. 

Aur un logo ne iss baat ko maana or unhe iss area me ek badiya jagah rante par mil gai apne mesh ko chalane ke liye.

Aaj in logo ka achha profit ho raha hai or mesh ka business chal pada.


Jab mere friend yaha aaye or issi jagah mesh me khana khane ke liye gaye to un logo ka khusi ka koi thikana nahi tha, or sath hi khana khane ke baad mere friend se paise lene se saaf inkar kar diya.

Mere friend ne bina kisi profit ke unki help ki, or starting me friend naa to unhe achhe se jante the or naa hi be inhe.

Ye post thi Help Karna Kis Tarah Humare Liye Future Investment Hai topic se related baate lekin or bhi topic ho sakte hai inse related jo sabhi ke sath alag-alag ho sakte hai.

Aapko ye post Meri Help Karo – Help Kaise Kare kitni effective lagi ya isme kuch kami rah gai hai to jarur bataye. Is post ko apne friends, relative ke sath jarur share kare jisse unke behaviour me changes aaye.

Is tarah or post ke liye humse jude rahe or FB page like karna naa bhule.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *