5 Best Websites Guitar Sikhane Ke Tips – Jaane Kaise.

Guitar Kaise Sikhe in Hindi : Aaj hum iss post me janege guitar kaise bajaye jata hai aur iske saath hi guitar sikhne ke tips online website ki help se sabhi information hindi language me samjhege.

To chaliye jante hai guitar kaise sikhe

Beete kuch saalo ke doran yuvao me guitar bajane or sikhane ka excitment bahut jyada dekhane ko mil raha hai.

Kuch logo ke pass yah guitar hone ke baad bhi ve samay or learn ki kami ke chalte nahi sikh pate hai. 

Yese me ye website aapko kafi kuch sikhaa sakti hai. To chaliye jante hai 5 Badiya Websites ke baare me jaha aap Online “Guitar” bajane ka tarika sikh sakte hai.

5 Badiya Websites Guitar Sikhane Ke Liye


* 5 Best Online Small Business Ideas List From Home in Hindi

Guitar Kaise Bajaye Jata Hai – Guitar Sikhne Ke Tips in Hindi [5 Online Website ] :

#1.  Justin Guitar  :-    justinguitar.com

Agar free websites ki baat kare to justin guitar sabse badiya site hai. Tabhi to ek din me lagbhag 30,000 log rojana yaha se guitar sikhate hai. 

Yaha aapko 945 se jyada free guitar lessions guitar sikhane ke liye milege.

Sath hi aapko guitar sikhane ke liye DVD or kitab bhi provide karai jaati hai. 

Iss site ka ek bahut hi rochak vakya hai – `Nothing to Pay, Nothing to Loose.

#2. Music Discipline  :-  musicdiscipline.com


Kisi bhi instument ko chalane ke liye uske practice ki bahut jarurat hoti hai. Yah ek website hai jo aapko practice karane ke purpose se banai gai hai. 

Iss site me automatic practice rootin generator, Har samay provide hone bali nai exercise or khud ki subidha ke anusar apna practice session banane bale feature diye gaye hai. 

Iske alava aap yaha khud ka test le sakte hai.

Online Bitcoin currency kya hai ? puri jankari.


#3. True Fire  :-   truefire.com

Yah site intermediate or advance skill bale logo ke liye hai.Isme aap mukhyatah teen tarah se ‘guitar sikha’ sakte hai.

Pahla cource jisme apko 50 video ke jariye guitar bajane ke style or anya chije batai jaati hai. 

Dusra hai Workshop jaha 8 week ki training di jaati hai.orTeesra hai Classroom jaha aapko alag – alag chaptar ke anusar sikhaya jaata hai.

#4. Guitarmonk  :-  guitarmonk.com


Yah ek yesi website hai jaha aapko offline or online guitar cource ke baare me puri jankari mil sakti hai. 

Yaha aapko diploma, degree ke alava guitar me raag or western music kaise bajaye iski bhi jankari di jaati hai.

Guitar monk desh ki lokpriy guitar institute hai.

Bahut se deso ke hajaro student yaha se guitar ka gyan le chuke hai. Inka khud ka online guitar music chanel bhi hai.

#5. Indian guitar chords tabs  :-  indian-guitar-chords-tabs.org


Iss website ke jariye aap guitar ki basic jankari jaise kaise sahi guitar kharide,tuning va basic se meserment aadi ki jankari milti hai. 

Iske alava me isme 5 modual bhi diye gaye hai. Jo aapko tayari ke liye behtar ho sakta hai.

Chuki iska naam hi indian guitar chords tabs hai isliye isme top clasic ,bolybood or hindi or hindi gaano ki guitar chords aapke liye provide karai gai hai.

Aapko yah post guitar kaise bajaye jata hai aur iske saath hi guitar sikhne ke tips se judi jankari kaisi lagi ? Iske saath hi Guitar kaise Sikhe ? iss saval ka jabav bhi mil gaya hoga or dosto ko share karna naa bhule. 

1 thought on “5 Best Websites Guitar Sikhane Ke Tips – Jaane Kaise.”

Leave a Comment