6 Tariko Ka Use Karke Apne Mind Ko Creative Kaise Kare ? How to Become Creative Mind.

   “ Creativity se har insaan bhara hota hai,lekin kabhi hum isko samajh pate hai or kabhi nahi “


6 Tariko Ka Use Karke Apne Mind Ko Creative Kaise Kare ? –  Aaj hum baat karne baale hai ki aap apne mind me achi soch lakar intelligent bnane ke saath chalak aur hoshiyar kaise bane. 

Hum me har insaan me koi na koi creative goon hota hi hai,lekin aksar hum uss creativity ka sahi use nahi kar paate hai. Iske kai karan ho sakte hai,kai baar iske baare me hame khud pata nahi hota ya fir pata hota bhi hai to apne aalasy ya creativity ki dushman dusri kuch aadato ki bajah se hamari creativity par nagetive effect padta hai.

Agar aap chahte hai ki aapke bhitar chupa creative insaan hamesha bna rahe to kuch creative karte rahe.To chaliye jante hai –  6 Tariko Ka Use Karke Apne Mind Ko Creative Kaise Kare ?

6 Tariko Ka Use Karke Apne Mind Ko Creative Kaise Kare ?

Dimag bahut jyada ashant ya tanav se grast rahega to jahir si baat hai koi bhi creative thought`s nahi aa payege.

Bahi shant or ‘tanav-rahit’ “dimag” me na kebal naye or creative thought`s aate hai,balki aap unn creative vicharo ko jo aap hakikat me paana chahte hai unhe paa sakte hai.

Isliye jaruri hai ki koi bhi creative kaam karne se pahle “dimag” ko shant jarur rakhe.

 Also Read :- Freebitco.in से Free Bitcoin या Satoshi कैसे कमाए ? 6 तरीके – Full Guide Hindi 

* 6 Tariko Ka Use Karke Apne Mind Ko Creative Kaise Kare ?

#1. Aapna Maahol Badle  :-


Ek jagah par rahne se kai baar yah aapki ‘creativity’ ko ‘effect’ karta hai. Isliye agar aapko kabhi yah lagne lage ki aapki creativity me koi change nahi aa raha hai to apne environment ko badalne ki soche.Nai jagah,hamesha nai soch,naye vicharo ko mind me laane ka kaam karti hai.Isliye creativity laane ke liye aap agar kahi nai jagah nahi jaa paa rahe hai to rojana ki dincharya me hi koi naya badlaav jarur kare.Isse aapki creativity bani rahegi.

Iss tarah aapka mind clever banta hai aur mind reading bhi kar paate hai.


Also Read :- PhonePe App Se 7500 Kamaye Aur 1000 CashBack Paaye [Loot Offer]


#2. Dimagi Exercise Kare  :-


Sarir ke sath “dimag” ko bhi thodi ‘exercise’ ki jarurat hoti hai,taaki aap thoda or creative ho sake.”Dimagi” exercise ke liye yah jaruri hai ki aap tarah-tarah ke pazzle`s solve kare,maths ke tricki savalo ko solve kare.Isse ‘dimag’ sharp banta hai or ‘creativity’ bhi badti hai.Isliye kuch ghante jarur “dimagi exercise” jarur kare.


Also Read :- Online Bitcoin Currency kya hai? iska use online payment ke liye kaise kare.


#3. Dimag Ko Khula Rakhe  :- 


Dimag ko khula rakhne ka matlab yah hai ki kisi ek hi tarah ke vicharo ko apne dimag me jagah na de balki alag-alag vicharo ko banaye rakhe or naye vicharo ka dimag me aana jaan-bujh kar na roke.Alag-alag chijo ko lekar un par vichar kare jisse aapke dicision lene ki sakti badegi or mind bhi kafi improve hoga.

Iss tarah chijo ko janne ki soch aapko aage le jayege.


Also Read :- Success Mantra in Hindi – अपने Comfort Zone से बाहर निकले।


#4. Hamesha Healthy Rahe  :- 


“Healthy diet” or ‘exercise’ aapke sarir ke sath hi aapke ‘dimag’ ko bhi sahi shape dene ka kaam karti hai.Jab tak aap saririk or mansik rup se healthy nahi rahege tab tak aap chahkar bhi koi creative chije nahi kar paaoge.

Isliye apne diet ko healthy banaye or feet rahne ko prathmikta de.


Also Read :- Confidence Kaise Badhaye Success Ke Liye – 3 Secrets Tips.


#5. Dare Nahi Nai Chije Karne Me  :-


Normal chijo se jyada Ab-normal chije hi logo ko jyada ‘attractive’ karti hai.Isliye kabhi bhi kuch naya ya anokha karne se apne kadam piche nahi hataye.Yaha aapki creativity ka ek naya aayam hota hai.Ho sakta hai aap kuch alag hat-kar karne me safal na ho jaye,lekin sirf issi dar se ki yah normal chalan se alag hoga,aap kuch anokha karne se darne lage,yah thik nahi.Bas,yah dhyan rakhe ki jo bhi naya kar rahe hai,bah sahi ho or aapko us par bharosa ho.


 Also Read : Top 15 Best Freelance Websites For Online Jobs in Hindi [Trending Job]


#6. Ignor Kare  :- 


Creativity” hone ka matlab hi yahi hai ki aap kuch naya kare.Jab kuch naya hota hai to kuch uski taarif karte hai,jabki kuch nahi.

Yah jaruri bhi nahi ki har insaan ko aapki “creativity” pasand aaye.Jahir si baat hai,jise aapka kuch naya karna pasand nahi aaya hai,usse aapke kaam ki burai ka pura adhikar hai or bah jabki aapko yah karna hai ki un buraiyo se prabhavit hone ki bajaye aap ‘aatm-vishvas’ ke sath apna kaam karte rahe.


Also Read :- Life Me Success Kaise Paaye. (Secrets Tips)

Also Read :- Google Tez UPI Digital Payment App Se Paise Kaise Kmaye.[Full Guide]


Yah post – “6 Tariko Ka Use Karke Apne Mind Ko Creative Kaise Kare” aapko kaisi lagi, isse apko kuch jankari mili to jarur bataye.Or isi tarah or bhi jankari pane ke liye humse jude rahe.Or haa apne dosto ko social media jaise – Facebook , Google+, Twitter etc. par jarur share kare. Thanks.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *