Internet Data Speed सभी देशो में कितनी है – How to Check Internet Speed in Hindi

Internet Data Speed Se Judi Kuch Jankari Jo Aapko Jarur Janna Chahiye :  Kya aap jante hai ki, ham internet speed me abhi bhi kafi piche hai. iske saath hi internet speed test karne baali kuch sites ko bhi btaya hai.

America – 12.6 Mbps.

India      –  2.8  Mbps.

South coria – 26.7 Mbps.

Internet Data Speed Se Judi Kuch Jankari Jo Aapko Jarur Janna Chahiye


Hamare desh me Average internet speed 2.8 Mbps hai,Or yahi world me Average speed 5.6 Mbps. Internet speed ka mtlab yah nahi hota hai ki koi signal kitne samay me kitni duri chalta hai. 

Kahane ka ye mtlab hai ki,internet speed ko signal ki speed se nahi maapa jaa sakta hai ,Balki internet speed ka mtlab `Babdwidth`se hai.

Bandwidt ka mtlab chodai se hota hai jise aapka device ek particular time ke ander receive karta hai aur ise second me liya jata hai.Ye jo Mbps ka mtlab Megabyte per second hota hai.

* Bitcoin Cryptocurrency Kya Hai ? Paise Kaise Earn Kare – Puri Jankari.

Jaise aapke internet ki speed 2.8 Mbps hai to iska mtlab Aapka device 2.8 Megabyte per second data receive kar raha hai. Jisse aap 2.8 MB data ko 1 second me receive kar lete ho.

How to Check Internet Speed : Internet Data Speed की जानकारी Hindi में –


# Bandwidth Kya Hai Aur Ye Kaise Kaam Karta hai :-


Bandwidth ka sidha relation aapke device ke jariye data receive karne se hota hai. Bandwidth ek raste ki chodai jaisa, Yaha jitna jyada hoga utna hi jyada data kam samaya me receive kiya jayega. 

Chalo isse ek raste ke example ke jariye jante hai.

Maan lo bandwidth kisi raste ke jaisa hai or yaha se sabhi jane bali cars data hai. Agar aap chahte hai ki ek hi samay me jyada se jyada car iss raste se jaa sake to raste ka choda hona jaruri hai.

Agar raste par ek lain hai or usse per second 1 MB data transfer ho raha hai,to kisi 5 MB ki image ko download karne me 5 second ka samay lag jayega.

Agar issi tarah rasta 5 lain bala ho to itne data ko device tak pahuchne me sirf 1 second hi lagega.

Sath hi bandwidth jitni jyada hogi internet speed bhi utni adhik hogi.

# Internet Speed Ke Kam Hone Ke Kuch Karan :-


#1.  India me internet speed bahut hi kam hoti hai, Iska ek karan optical fiber ki achhi technic ka use na karna.

Balki internet provider companya yese kebal ka istemal kar rahe hai jo kafi sasti hai. Achhi kebal ka use na karne ke karan data transfer me problem aa rahi hoti hai.

#2.  Jab bhi koi company internet subidha deti hai to unka dhyan grahko ki sankhya par hota hai.

Kyoki companyo ka target jyada population bale area me kuch logo ko badiya speed dene ke bajaye adhik logo ko suvidha provide karane ka hota hai.

Jisse data ko aap tak pahuchne me time lagta hai.

#3.  Kuch saalo pahle tak internet ek luxery ke tor par maana jata tha na ki daily life ko easy banane me.

Jaise-Jaise iska use badta gaya logo ne isse yese hi lena start kiya kyoki yah daily life me use hone laga.

Aur sath hi companyo ne isme achi service ke bajaye jyada logo tak pahuchya. Is karan isme quality badane par dhyan nahi diya gaya isliye aaj ham bahut hi kam speed me net use karte hai.

#4.  Data ke transfer me user aur internet provider ke bich ki duri bhi important hoti hai. Yahi bajah hai ki desh ke kai dur-daraj area me internet ki speed aaj bhi utni nahi hai. 

jaise badi city me dekhane ko milti hai.

#5.  Internet ke liye videshi catelite par depend hona bhi kam “internet speed” ki ek bada karan hai. Iske karan hamere liye internet kafi mahga or simit bhi ho gaya hai.

#6.  Company or government ke bich sahi se planing na hona. Garibi or koshal ki kami bhi direct ya indirect tor par internet ki speed ke kam hone ka karan hai.

# How to Check Internet Speed Test in Hindi :-


STEP 1.  Sabse pahle aap niche di gai link me se kisi ek link ko apne web browser me open kare.

speedtest.net, 

tools.pingdam.com ,

testmy.net ,

bendwidthplace.com ,

STEP 2.  Apne internet browser me kisi bhi site ko open karne ke baad ,uss website me speed test ke button ko dabaye.


STEP 3.  Ye websites computer se apne server tak kuch data bhejati hai or usme lagne bale samay ko batati hai. 

Data bhejane or server se jabab aane ke bich lagne bale samay se speed ka pata lagaya jata hai.


Ye jankari Internet Data Speed Se Judi Kuch Jankari kaisi lagi. isse apko kuch help mili to jarur bataye aur humse jude rahe.Aur haa apne friends ko share karna naa bhule. Thanks.

Leave a Comment