Bitcoin Meaning in Hindi – पूरी जानकारी

Bitcoin Meaning in Hindi : Aaj hum baat karenge bitcoin kya hai(क्या है)?. yah kaise kaam krta hai, iska kya use hai aadi sabhi information ki details hindi me janege.

Yadi aap online naye hai to Bitcoin ke baare me puri jankari ke liye iss post ko pura padhe.

Isse generate karke chije kharidi jaa sakti hai. Jaante hai one by one Bitcoin ke chalan ke bare me. 

Yadi aap Bitcoin Digital CryptoCurrency ko Send, Receive, Payment ke liye aur Trading karna chahte hai to India ke Unocoin Bitcoin Wallet par free register kar sakte hai. 

To chaliye jante hai Bitcoin Meaning in Hindi” se judi sabhi baate.


Online Bitcoin Currency Kya Hai Iska Use Online Payment Ke Liye Kaise Kar Sakte Hai

Bitcoin Meaning in Hindi -पूरी Information Hindi में :

#1.  Bitcoin Kya Hai :-

Bitcoin Digital Cryptocurrency  year 2008 me pesh kiya gaya tha. Isse user hi banateistemal or control karte hai. Yah pear to pear electronic cash system hai.

Bitcoin system ko iss tarah se design kiya gaya hai ki 21 million Bitcoin ki hi supply ho sakti hai. System apne aap hi Bitcoin banne ko regulate karta hai.

Mojuda growth rate ko dekhate huye 2040 tak bitcoin ki sankhya maximum 21 million tak pahuch jayegi.

#2. Kya Hai Cryptocurrency :-

Bitcoin ek digital currency hai. Ise Cryptocurrency bhi kahat hai. Iska istemal internet par trading or services ke payment ke liye kiya jata hai.

Yah currency simit sankhya me hoti hai,taki mahagai dar ko kam rakha ja sake.

Yah ‘pear to pear transfer technology’ ka istemal karti hai. 

Security ke liye yah cryptography ka istemal karke incrypted hoti hai.Yah kisi computer ya smartphone se transfer ki jaa sakti hai. Ise track nahi kiya jaa sakta.

Iss currency ki value gold ki tarah demand or supply par depend karta hai.

#3. Kaise Kare Start :-

Sabse pahle www.coinbase.com ya yese kisi anya international digital wallet me signup karna padega,

jo bitcoin accept karte hai.Yaaha aapko ek Unik Bitcoin address milega. Bitcoin tranjaction me ise istemal karna padega.

Aap free me Bitcoin address creat kar sakte hai. Aap offline free software tools Armory (www.bitcoinarmory.com) se Bitcoin generat kar sakte hai.
#4. Main Kaise Prapt Karu :- 

‘mtgox’ (www.mtgox.com) Sabse bada ‘Bitcoin exchange’ hai.Yah Bitcoin kharidne ka sabse universal sthan bhi hai.

Aap ek account bana sakte hai or kuch minute me hi apni khud ki currency se Bitcoin kharidna start kar sakte hai.

Yah website exchange rate display karti hai or Historical exchange rate`s ka chart bhi show karti hai.

Agar aap apni currency ke mukable me ek Bitcoin ki value janna chahte hai to aap www.preev.com par jaa sakte hai.

1 Bitcoin ko choti units me bata jaa sakta hai.Inhe SATOSI kaha jata hai.100 million satosi milkar 1 Bitcoin banate hai.

100 million satosi= 1 Bitcoin.Or 1 Bitcoin ki value kuch bhi ho sakti hai jaise 100$,200$,300$ ya 400$ .Ye value market me demand or supply par depend karti hai.

#5. Bitcoin Free Me Kaise Kmaye :

Free bitcoin earn karne ke liye yah post Free bitcoin ya satoshi kaise kamaye padhe.

Yaha Bitcoin ko kisi currency se convert kiye bina prapt karne ke 6 tariko ke baare me btaya hai. 

Yaha every 1 hour me kuch satoshi prapt kar sakte hai bo bhi 5 second me ek claim karke.

Bitcoin kamane ka dusra tarika hai ki apne computer ki CPU power ka ek hissa www.coingeneration.com par kiraye par de.

Yesi kai website hai, jo video dekhane ya dusri website visit karne par Bitcoin deti hai. Canada ki sarkar Bitcoin ko chunoti dene ke liye mintchip utar rahi hai.

#6. Bitcoin Se Kya Hai Fayade :-

Digital currency hone ke karan phone ya kisi anya electronic storage device me hajaro Bitcoin rakh sakte hai. 

Inme kisi tarah ka tax bhi samil nahi hota.Inhe aasani se churaya bhi nahi jaa sakta,Kyoki inhe transfer karne ke liye aapka device hona jaruri hai.

Ye dhyan rakhe ki jab aap Bitcoin transfer kar dete hai to tranjaction ko reverse nahi kiya ja sakta,Kyoki Bitcoin ki ownership turant badal jati hai.

Bitcoin kisi bhi desh ka persion istemal kar sakta hai.Yah kisi vittiya sansthan ya desh ke prati utardaai bhi nahi hai.

#7. Kamiya :- 

Bitcoin ki kimat me utar-chadav teji se aata hai.Iski demand or supply central athority ke jariye monitar nahi ki jaati.Iske tranjiction ko tras nahi kiya jaa sakta.

Koi vykti inka galat kaamo ke liye istemal kar sakta .Bitcoin mining ka kaam savdhani se karna chahiye.

#8. Kya Kar Sakte Hai :-

Yese kai jagah hai,Jaha par aap Bitcoin kharch kar sakte hai.

Agar Wordprees ya famous website jaise Reddit, 4chan, The piret bay, eztv or internet archive ke user hai to aap donation ke liye Bitcoin istemal kar sakte hai.

Agar aap online storage istemal karte hai to Mega.co.nz par Bitcoin se 50 gb free storage upgrade kar sakte hai.

Shopping website www.somethinggeeky.com Bitcoin payment accept karti hai. Bitcoin ka currency code BTC hai.

Read : 7 Secrets of bitcoin crypto currency history details in hindi.


#9. Kya Main Istemal Kar Sakta Hu :- 


Bitcoin ka trand teji se bad raha hai. Halaki duniya ke bade retailar abhi ise accept nahi kar rahe hai. Bharat me Bitcoin accept karne bale physical ya online store mojud nahi hai.

Puri duniya me kon-kon se store Bitcoin accept karte hai, Yah pta lagane ke liye aap www.coinmap.org par jaa sakte hai.

Agar aap international websites par Bitcoin istemal karna chahte hai to aap inhe donetion or kharidari ke liye aap website http:goo.gl/Pf6ppa par jaa sakte hai.

Ab aap jaan chuke honge ki Bitcoin Meaning in Hindi” के बारे में पूरी जानकारी कि आखिर Bitcoin Currency Kya Hai, iska use kaise kar sakte hai.


Yah information achhi lagi to comment ke jariye jarur bataye Aur apne Friends ke saath Social Media Par share jarur kare. 

Issi tarah jankari pane ke liye hamare iss blog par daily visit bhi kar sakte hai. Thanks. 

1 thought on “Bitcoin Meaning in Hindi – पूरी जानकारी”

Leave a Comment