Li-Fi क्या है ? यह Wi-Fi से 100 गुना तेज कैसे है – जाने.

Li-Fi Vs Wi-Fi in hindi : hum janege Li-Fi kya hai ( क्या है )? Li-Fi aur Wi-Fi dono me kya differences hai. Yah 100 guna tej kaise hai saath hi li-fi kis technology par working karta hai.

Li-fi ka full form Light-Fidelity hai.

Jis tarah ham Wi-Fi or Bluetooth ka upyog kar rahe hai deta transfer ke liye baise hi issi technice par based Li-Fi hai.

Ab deta ke liye yesi technice aa chuki hai jo Wi-Fi ke mukable 100 guna tej hai,or iss technice ko viksit karne bale hai,bhartiya technician.

Li-Fi Kya Hai Or Wi-Fi Se 100 Guna Tej Hai Li-Fi Jaane Kaise.

Li-Fi se Wi-Fi ke mukable aap 100 guna tej internet chala sakte or iski raftar 1 Gigabit prati second tak ho sakti hai.

Startup company welmeny ke Co-founder or CEO Deepak solanki ne bataya ki yah technice call drop jaisi problems ke liye ramban saavit ho sakti hai.

Jab ye technice start ho rahi thi tab isse ek kapol kalpana batakar kharija kar diya tha or is company me nivesh karne se niveshako ne apne hath piche khich liye.

To chaliye jante hai, Jab ye technice start ho rahi thi tab isse ek kapol kalpana batakar kharija kar diya tha or is company me nivesh karne se niveshako ne apne hath piche khich liye.To chaliye jante hai – Li-Fi Kya Hai Or Wi-Fi Se 100 Guna Tej Hai Li-Fi Jaane Kaise

Li-Fi Kya Hai Or Wi-Fi Se 100 Guna Tej Hai Li-Fi Jaane Kaise :

Kaise Kaam Karta hai :- 

Li-Fi chalane ke liye aapko chahiye bijali ka ek source jaise LED balb , internet connection or ek photo detector.

Welmeny ne 1 Gigabit prati second ki raftar se deta bhejane ke liye ek Li-Fi balba ka istemal kiya.Parikchan me pta chala ki iski raftar 224 Gigabit prati second tak ho sakti hai.

Yaha parikchan ek office me kiya gaya taki karmchari internet chala sake.Sath hi ek odhyogik chhetra me bhi iska parikchan hua jaha isne ek smart lighting solution provide karaya.

Solanki ke mutabik yah technice 3-4 saal me user`s tak pahuch jayegi.Unhone kaha ki Li-Fi ke istemal ke liye mobile par ek divice lagani hogi par future me yah Wi-Fi or Bluetooth ki tarah mobile me hi laga hua (inbuilt ) hoga.


Kya Ye Upyogi Hai :- 

Haa , be sak ye technice upyogi sabit hogi.Jaha radio tarango ke liye spectrum ki seema hai, bahi visiual light spectrum 10,000 guna jyada vyapak hai. Iska mtlab yaha hai ki iski nikat bhavishya me khatm hone ki sambhavna nahi hai.

Isme suchana ko light pulses me Encode kiya ja sakta hai jaise remot control me hota hai. LED broadband connection ke liye badiya deta transmit karne me sakchham hai or fir bhi yah samanya white light ki tarah dikhata hai.

Kaha Tak Upyogi Hai  :- 

Jis tarah aaye din technology bad rahi ,or lagatar naye innovations ho rahe hai Issi tarah Li-Fi bhi aane bale samay me internet speed ko bada kar badiya savit ho sakta hai.

Li-Fi ka bada laabh yaha hai ki yaha Wi-Fi ki tarah dusre radio signal me khalal nahi dalta. Yahi karna hai ki iska istemal bimano or dusre yesi jagah par kiya ja sakta hai.

Lekin isme achhai ke sath kuch khamiya bhi hai. Iski sabse badi khami yaha hai ki ise ghar ke bahar dhup me istemal nahi kiya ja sakta kyoki suraj ki kirne iske signal me dakhal deti hai.Yaha technic dibaar ke aar-paar istemal nahi ki ja sakti hai.

Is tarah starting me yaha Wi-Fi network ke purak ke roop me kaam karegi. Sakre sahri ilako ya hospital jaisi jagah par jaha Wi-Fi safe nahi hai iska upyog kiya ja sakta hai.

Aapko yah jaankari Li-Fi Kya Hai ? Yah kis Technology par Work Karta hai kaisi lagi comment kare or ho sake to dosto ko share bhi kar sakte hai.  

Leave a Comment