Mobile Me Internet Data Kaise Save Kare – 4 Secrets Methode.

Android Mobile Me Internet Data Kaise Save Kare in Hindi : Hum baat karenge aap apne android mobile me internet data kaise bachaye. Bas aapko mobile phone ka data bachane ke kuch tarike ka use karna hoga. Isse aap kaafi mobile data save kar payege.

Smartphone par deta kitna kharch ho raha hai apki najar hamesa is par lagi rahti hai.Aap jab bhi Wi-Fi zone me hote ho, apna download usi samay pura karna chahte hai.

Lekin aap yadi deta ka istemal karte samay kuch chijo ka dhyan rakhe to apka deta ka kharch kam ho sakta hai.To chaliye jante hai – Mobile Phone Ke Deta Use Par Kabu Kaise Paye.

Mobile Phone Ke Deta Use Par Kabu Kaise Paye? Kuch Solid Tariko Ka Use Karke.

Aaiye apko iske kuch tarike batate hai.

Android Mobile Me Internet Data Kaise Save Kare :

Deta sever chun kar :-

Chrome browser par Deta Sever chun kar apne deta ke istemal ko kam kiya ja sakta hai.Sabse pahle chrome browser khole ,Ad screen ke dahine taraf upar apko teen bindu dikhai denge,

us par click kare ek naya page aayega isme Setting option ko select kariye or fir thoda niche scroll karke Deta Sever ko select kijiye.

Google ka daba hai ki isse apke mobile deta ka kharch karib 50% tak kam ho sakta hai.


Mobile Phone Ki Kuch Setting Se :- 

Kai bar apka phone bina kisi karan tarah-tarah ke app ke deta ko seenk karta rahta hai,Chahe uski jarurat na bhi ho,Yadi ise band kar diya jaye to apke deta ki khapat kam hona start ho jayegi.

Iske liye apne smart phone ke `Setting`me jakar `Account` ko chuniye .Uske baad un sabhi App jinke deta ko seenk hone ki jarurat nahi hai. Unke box se tik mark hata dijiye.


Background Deta Ki Limit Set Kar :- 

Iske alaba yadi background deta ko simita kar diya jaye to deta ki khapat par lagam lag jayegi.Background deta ko simita karne ke liye smartphone ke`Setting`me jakar `Deta Uses`ko chun lijiye.Uske baad screen ke upari hisse me teen bindu par click kar ke`Restrict Background Deta`chun lijiye.

Ab apke smartphone par sabhi App background deta ka istemal kam kar denge jab be background me chal rahe ho.Iska asar apke notification par dikhega or bo der se apke phone par ayenge.


Deta Limit Set Karke 

Deta ka istemal karne ke liye yadi apne smart phone par deta limit set kar dege to mobile ke deta ka istemal bhi apke control me rahega.
Yesa karne ke liye smartphone ke Setting me jakar Deta Use ko chune. Ab Set Celular Deta Limit option apke samne hoga. 

Baha jakar aap ye deside kar le ki mahine me kitna deta istemal karna chahte hai. Mobile deta par aap kitne paise mahine me kharch karege iski ab apko jankari rahegi.

Apko ye post Android Mobile Phone Me Internet Data Kaise Save Kare achi lagi ya koi problem aa rahi hai samjhne me to comment karke puch sakte hai or mere is blog ke sath bane rahe adhik jankari ke liye Aur haa Share karna na bhule.  

Leave a Comment