Mobile में Loan (Balance) कैसे लेते है – Best Trick

SIM Card or Mobile Me Talk Time Loan (Balance) Kaise Lete Hai : Aaj ka humara topic hai kisi bhi sim card ya mobile me balance loan lekar emergency recharge kaise kare. 

Yaha hum top 8 company jaise Vodafone, Airtel, Idea, Reliance, BSNL, Tata Docomo, Aircel, Telenor SIM card par loan credit lene ke baare me discuss karenge.

Din prati din mobile ka istemal bada raha hai to isse related kuch jankari bhi apko pta hona chahiye.
Aaiye aaj ham top 8 telecom company ke SIM card par loan kaise le iske bare me jankari lenge.

Kya kabhi apne socha hai ki agar apke mobile ka balance or internet band ho jaye,or apke aas-pas recharge ki dukan bhi nahi ho to yesi isthiti me aap kya karenge.
Jahir si baat hai apke phone me balance nahi hai to aap apne dosto ya paribar se bhi recharge karane ko nahi kaha sakte.Internet nahi hone ki bajah se na to apka Paytm kaam karega or na hi Freecharge.

Yesi isthiti ke liye kuch tarike batate hai jisse aap mobile me balance manga (loan) sakte hai. To chaliye jante hai Top 8 Company Ke SIM Card Par Loan (Balance) Kaise Le.

Top 8 Company Ke SIM Card Par Loan (Balance) Kaise le.Kuch Aasan Se Number`s Ka Use Karke.

Mobile Me Talk Time Loan (Balance) Kaise Lete Hai :

# Vodafone Advance Talktime Loan Number :-

Agar aap Vodafone use karte hai or apke mobile me balance khatam ho gaya hai to aap apne phone se *111*10# dial kare. 

Iske baad apko Chota Credit option ke liye Chota option select karna hai ab yaha aap balance (Credit) ke yogya hai ya nahi ka option ayega jaha apko `1` dabana hai. 

Agar aap yogya hai to apko`0`dabana hai fir apko vodafone 10 ya 5 rupaye ka balance dega.

Jab aap apne phone ko recharge karaoge tab company apke balance se jitna apne loan liya baha or 2 rupaye jyada kaat legi. 

Yese hi aap apne mobile ke message box me jakar CREDIT likh kar 144 par send kar ke bhi loan le sakte hai.

Iske liye apka SIM Card 3 mahine purana hona chahiye.

# Airtel Me Yese Le Balance :- 

Apke pass Airtel hai or apka balance 5 rupaye se kam hai to aap 10 rupaye ka balance (Credit) le sakte hai.Baad me company itne paise apke recharge karane par bapas le legi.

Balance lene ke liye apko *141*10# dial karna hai jiske baad 3 option ayenge ,apko usme se pahla option select karna hai.Iske 2 se 3 minute ke baad apko 10 rupaye ka balance diya jayega.

# Aircel Me Yese Le Balance :- 

Aircel Extra Credit Service ke naam se loan ki subidha deti hai. Agar aap Aircel use kar rahe hai or balance nahi hai,to aap apne message box me jakar LOAN type karke 55414 par bhej de. 

Aap chahe to *414# dial kar ke bhi 10 rupaye ka balance le sakte hai.Aage recharge karane par company apke account se 12 rupaye kaat legi.

* Online Bitcoin Currency क्या है ?

# How to Take Loan in BSNL SIM Card :- 

Aap BSNL user hai to message box me jakar CREDIT type kare aur 53738 par bhej de. 

2 minute me apko company 10 rupaye ka balance degi or apke jariye recharge kiye jaane par company apke account se 11 rupaye kaat legi.

# Idea Me Yese Le Balance :- 

Apke pass agar 5 din purana idea ka SIM Card hai to aap kam balance hone par credit le sakte ho. Iske liye apko *150*03# dial karna hai jiske baad screen par credit ka option ayega. 

Agale recharge par company apke account se utne paise kaat legi.

# Reliance Loan Code Number :- 

Company apne user ko 5 or 15 rupaye tak ka credit deti hai. Mobile ke SIM Card me kam balance hone par apko apne message box me jakar YCR type karna hai or use 52134 par send karna hai.

Message karne ke baad apke screen par credit lene ke option ayenge jaha se aap credit le sakte hai.Dusare telecom companys ki tarah yaha bhi recharge karne ke baad itne hi paise apke balance se kaat liye jayenge.


# Tata Docomo Me Yese Le Balance :- 

Agar aap Tata Docomo user hai to aap 4 ya 10 rupaye ka loan le sakte hai.Iske liye apko apne mobile se *369# dial karna hai jiske baad apko company credit degi. 

Aap chaye to message box me LOAN type kar ke 369 par bhi bhej sakte hai or credit manga sakte hai. par isme credit lene ke liye apka SIM kam se kam 90 din purana hona chahiye.

# Telenor Me Yese Le Balance :- 

Agar aap telenor user hai to aap kam balance hone par apne mobile se *0# dial karke 10 rupaye ka loan le sakte hai. 

Company agale recharge par loan liye huye balance se 2 rupaye jyada kaat legi.
NOTE :- Sabhi Telecom company credit tabhi deti hai jab apke pichale credit ke paise clear ho matlab purana liya gaya loan (credit) apne chuka diya ho.

Example ke tour par agar apne ek baar credit le liya hai to jabtak uske paise nahi katege tabtak aap naya credit nahi le sakenge. 

Ye jankari SIM Card or Mobile Me Talk Time Loan (Balance) Kaise Lete Hai apko kaisi lagi commet jarur kare or share karna na bhule .

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *