Paypal Kya Hai ? India Me Verified Account Kaise Banaye – Full Details

Paypal Kya Hai ( क्या है )? How to create account on Paypal in india : Aaj main aapko btane bala hu Paypal kya hai. iss par india me register karke apna account verify kaise kare. Saath hi paypal online payment processor wallet kaise kaam karta hai.

Paypal online payment services deta hai iske jariye hum credit or debit card ka use karke kisi ko bhi payment karne ke saath shopping bhi kar sakte hai.

Paypal ek trusted site hai. Yah digital wallet hone ke karan isse online payment bahut hi easy send aur receive kar paate hai. Paypal 1998 se 190 country me work kar rahi hai.

Online work karne par jo dollor hame milta hai ham use paypal ke jariye apni currency me convert kar apne bank account me transfer kar lete hai.Iske liye paypal hamse kuch 4-5% commission charge leta hai.To chaliye jante hai – Paypal Kya Hai Or Is Par Account Kaise Banaye.

Paypal Kya Hai. India Me Verified Account Kaise Banaye

Online payment send or receive karne ke liye paypal ek badiya platform hai achhi servies ke sath.Jis par ham trust kar sakte hai.Paypal par daily crorero rupaye ka lena dena lakho logo ke jariye kiya jata hai.

Iski badiya service ke karan daily log isse judte ja rhe hai

To chaliye jante hai paypal par kaise account banate hai.

* India Me CryptoCurrency Coin Ethereum Kaise Kharide.

* Bitcoin Mining Kya Hai ? Crypto Mining Se Paise Kaise Kamaye.

Paypal Kya Hai ? India Me Verified Account Kaise Banaye – Full Details

# Iske liye kya kya hona jaruri hai : –

Email ID

Bank Account No.

PAN Card No.

International Transaction karne bala Debit ya Credit Card.

Yadi ye information apke pass hai to aap 10 minute me paypal account bna sakte hai.

Note :- Ek baat ka jarura dhyan rhe ki paypal me account banate time bahi naam dalna hai jo apke bank account me dala hai.

# Paypal par Registration Kaise Kare : –

Sabse pahle www.paypal.com par click kare or is site par jaye.
SIGN UP par click kare fir “Individual account” ko select karke continue par click kare. Ab apke samne niche diya gya page open hoga. 



Isme apko sari information fillup karna jaise .
country 
Email address
Password
Re-enter password.
Ye sari information fillup karne ke baad Continue par click karna hai ek naya page kuch is tarah open hoga.

Paypal wallet Kya Hai or Is Par Account Kaise Banaye - Puri Jankari.

Yaha par bhi apko sari information fillup karna hai or last me sahi ka mark Term and condition bale box me laga kar “Agree and Create Account” par click kar dena hai.

Ab apke pass  Email ID par ek mail aayega jo paypal se send kiya jayega apke account ko confirm karne ke liye.

Bas apko apna Email accont open karna hai or paypal bale email ko open karna hai us email me ek link hoga apko us link ko click karna hai or paypal site tak pahuchana hai.CONGRATULATION apka account ban gya hai. Ab aap LOGIN kar ke dekh sakte hai.

Note : –  Yaha par jo Email ID dala hai bahi apka paypal account Email ID hoga.
Jab bhi aap online paise kamate hai or baha paypal Email ID ke liye kaha jaye to apko yahi Email ID dalna hai.

Aapko Ye Post Paypal Kya Hai ? India Me Verified Account Kaise Banaye Yadi apko account create karte time koi problem aaye to aap comment kar ke apna doubt clear jarura kare.

Aap paypal ke customer care no. 18002123852  par call karke bhi paypal se related koi bhi sawal puch sakte hai . Ye ek tollfree no. hai.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *